Romantic shayari

sajid malik
0
Romantic shayari

Aayina dekh ke kehte hain sanwarne waale,
Aaj be-maut maren ge mere marne waale


Tum phir ussi adaa se angrrayi leke hans do,
Aa jaye ga palatt kar guzraa hua zamaana..


Tum mille ho to sab yoon hai ke jese,
Eilaan jannat ka ho gunahgaar ke liye..


Kya ghazab hai ke uss ki khamoshi,
Mujh se batain hazaar karti hai.



Teri surat se nahin kisi ki surat milti,
Hum jahan main teri tasveer liye phirte hain..


Yeh mera masla hai ke qayaam kese ho ga,
woh dil main apne utarne to de mujh ko..


Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko,
Yeh meri umar mohabbat ke liye thori hai..

Tum ko hazaar sharam sahi mujh ko lakh zabt,
Ulfat woh raaz hai jo chupaaya na jaye ga..


Iss darjaa mutmayin hain woh zulfen sanwaar ke,
Jaise sadaa rahen ge zamaane bahaar ke..



Kal chohdhveen ki raat thi shab bhar raha charcha tera,
Kuch ne kaha yeh chaand hai, kuch ne kaha yeh chehra tera..


Baat baat pe muskurate ho kyun baar baar,
Jaan lene ke tareekey to aur bhi hain.


Afsaanon ki duniya mein sab jhoot nahin hota,
Dil aur bhi uljhe ga parrhiye na kitabon ko..


Jitna suljhaao ge yeh aur ulajh jaye gi,
Zindagi zulf to nahi jo sanwar jaye gi..


Tasveer maine maangi thi shokhi to dekhiye,
Ek phool us ne bhejj diya hai gulaab ka..


Teri aankhen sawaal karti hain,
Meri himmat jawaab deti hai..


Yeh maza tha dil lagi ka ke barabar aag lagti,
Na tujhe qaraar hota, na mujhe qaraar hota..


Zikr jab chirr geya qayamat ka,
Baat pohanchi teri jawani tak..


Apne andaaz aayiney mein dekhte hain woh,
Aur yeh bhi dekhte hain koi dekhta na ho..
http://amzn.to/2pBJgUY

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ

Thank you..

एक टिप्पणी भेजें (0)