2 line Hindi Urdu shayari

sajid malik
0

Aaina kabhī qabil-e-dīdār na hove
gar ḳhaak ke saath us ko sarokār na hove


aañkh uThā kar use dekhūñ huuñ to nazroñ meñ mujhe
yuuñ jatātā hai ki kyā tujh ko nahīñ Dar merā


āfrīñ tujh ko hasrat-e-dīdār
chashm-e-tar se zabāñ kā kaam liyā

ab aur der na kar hashr barpā karne meñ
mirī nazar tire dīdār ko tarastī hai

agar hayāt hai dekheñge ek din dīdār
ki maah-e-iid bhī āḳhir hai in mahīnoñ meñ


dekhā nahīñ vo chāñd sā chehrā ka.ī din se
tārīk nazar aatī hai duniyā ka.ī din se


dīdār kī talab ke tarīqoñ se be-ḳhabar
dīdār kī talab hai to pahle nigāh maañg


hāsil us mah-laqā kī diid nahīñ
iid hai aur ham ko iid nahīñ


haTāo aa.ina ummīd-vaar ham bhī haiñ
tumhāre dekhne vāloñ meñ yaar ham bhī haiñ

jaise jaise dar-e-dildār qarīb aatā hai
dil ye kahtā hai ki pahuñchūñ maiñ nazar se pahle

janāb ke ruḳh-e-raushan kī diid ho jaatī
to ham siyāh-nasīboñ kī iid ho jaatī

jo aur kuchh ho tirī diid ke sivā manzūr
to mujh pe ḳhvāhish-e-jannat harām ho jaa.e



kahte haiñ iid hai aaj apnī bhī iid hotī
ham ko agar mayassar jānāñ kī diid hotī


kuchh nazar aatā nahīñ us ke tasavvur ke sivā
hasrat-e-dīdār ne āñkhoñ ko andhā kar diyā


kyuuñ jal gayā na taab-e-ruḳh-e-yaar dekh kar
jaltā huuñ apnī tāqat-e-dīdār dekh kar


maiñ kāmyāb-e-diid bhī mahrūm-e-diid bhī
jalvoñ ke izhdihām ne hairāñ banā diyā


tirī pahlī diid ke saath hī vo fusūñ bhī thā
tujhe dekh kar tujhe dekhnā mujhe aa gayā

TūTeñ vo sar jis meñ terī zulf kā saudā nahīñ
phūTeñ vo āñkheñ ki jin ko diid kā lapkā nahīñ

uTh ai naqāb-e-yaar ki baiThe haiñ der se
kitne ġharīb diida-e-pur-nam liye hue

vo dushmanī se dekhte haiñ dekhte to haiñ
maiñ shaad huuñ ki huuñ to kisī kī nigāh meñ

aaye thehre aur ravaana ho gaye,
Zindagi kya hai safar ki baat hai.

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ

Thank you..

एक टिप्पणी भेजें (0)